Best Songs of Sahir Ludhianvi

Sahir Ludhianvi is one of the greatest lyricists of Hindi Cinema. Sahir Ludhianvi is the pen name of Abdul Hayee. Check out the Best Songs of Sahir Ludhianvi on his death anniversary. The songs are in chronological order of the movie release.

Tadbeer Se Bigadi Huyee Taqdeer from Baazi (1951).

tadbeer se bigdi huyi taqdeer banaa le,taqdeer banaa le
apne pe bharosaa hai to ye daanv lagaa le, lagaa le daanv lagaa le
dartaa hai zamaane ki nigaahon se bhalaa kyun, nigaahon se bhalaa kyun
insaaf tere saath hai ilzaam uthaa le, ilzaam uthaa le
apne pe bharosaa hai to ye daanv lagaa le, lagaa le daanv lagaa le
kyaa khaakh wo jeenaa hai jo apne hi liye ho, apne hi liye ho
khud mitke kisi aur ko mitne se bachaa le, mitne se bachaa le
apne pe bharosaa hai to ye daanv lagaa le, lagaa le daanv lagaa le
toote huye patwaar hain kashti ke to ham kyaa aaa,
haari huyi baahon ko hi patwaar banaa le, patwaar banaa le
apne pe bharosaa hai to ye daanv lagaa le, lagaa le daanv lagaa le
tadbeer se bigdi huyi taqdeer banaa le, taqdeer banaa le
apne pe bharosaa hai to ye daanv lagaa le, lagaa le daanv lagaa le

—————

The classic song Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To from Pyaasa (1957). Beautiful lyrics by Sahir Ludhianvi and brilliantly sung by Mohammed Rafi. Its picturization is spectacular as Ritz had mentioned in his post for “Spectacular” Songs of Bollywood here.

Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya
Yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya
Yeh daulat key bhookhey rawajon ki duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai

Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi
Nigahon mein uljhan, dilon mein udaasi
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Yahaan ik khilona hai insaan ki hasti
Yeh basti hai murda paraston ki basti
Yahaan to jeevan sey hai maut sasti
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

—————

Jinhen Naaz Hai Hind Par from Pyaasa has some brilliant lyrics – a song for those who feel proud of India.

Ye kuche ye ha aaa ghar dilkashi ke
Ye kuche ye nilam ghar dilkashi ke
Ye lutate huye karva zindgi ke
Kaha hai kaha hai muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Ye purapech galiya ye badnaam bazar
Ye gumnaam rahi ye sikko ki jhankar
Ye isamat ke saude ye saudo pe takrar
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Ye sadiyo se bekhauf sahmi si galiya
Ye masli hui adhakhili zard kaliya
Ye bikti hui khokhali ragraliya
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Vo ujale daricho me payal ki chhan chhan
Thaki hari saso pe table ki dhan dhan
Ye beruh kamro me khasi ki than than
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Ye phulo ke gajre ye piko ke chhite
Ye bebak nazre ye gustakh fikare
Ye dhalake badan aur ye bimar chehre
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Yaha pir bhi aa chuke hai jawa bhi
Tan o mand bete bhi abba miya bhi
Ye bivi hai aur bahan hai maan hai
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Madad chahti hai ye hawa ki beti
Yashoda ki hamjins radha ki beti
Payambar ki ummat zulekha ki beti
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai
Zara is mulk ke rahbaro ko bulao
Ye kuche ye galiya ye mazar dikhao
Jinhe naaz hai hind par unako lao
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai kaha hai kaha hai

—————

Jane Woh Kaise Log The from Pyaasa.

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyaar Ko Pyaar Mila
Humne To Jab Kaliyan Mangin To Kaanton Ka Haar Mila
Khushion Ki Manzil Dhundi To Gham Ki Gard Mili
Chahat Ke Naghme Chahe To Sard Aanheen Mili
Dil Ke Bojh Ko Dhundlaa Kar Gya Jo Ghumkhawar Mila
Hum Ne To Jab Kaliyan Mangi Kaanton Ka Haar Mila
Bichad Gya Har Sath De Kar Pal Do Pal Ka Saath
Kisse Fursat Hai Jo Thame Dewaanon Ka Haath
Humein To Apna Saaya Aksaar Bezaar Mila
Hum Ne To Jab Kaliyan Mangi Kaanton Ka Haar Mila
Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yun Hi Jee Lenge
Uff Na Karenge Lab Si Lenge Aansu Pi Lenge
Gham Se Ghabrana Kaisa Gham Sau Baar Mila
Hum Ne To Jab Kaliyan Mangi Kaanton Ka Haar Mila

—————

Ude Jab Jab Zulfen Teri Song from Naya Daur (1957)

—————

Tu Hindu Banega Na Musalman Song from Dhool Ka Phool (1959).

tu hindu banega na musalman banega
insaan ki aulad hai insaan banega
achchha hai abhi tak tera kuch naam nahi hai
tujhko kisi majhab se koi kaam nahi hai
jis ilm ne insaan ko takseem kiya hai
us ilm ka tujh par koi iljaam nahi hai
tu badle huye waqt ki pehchan banega
insaan ki aulad hai insaan banega
tu hindu banega na musalman banega
insaan ki aulad hai insaan banega
malik ne har insaan ko insaan banaya
hamne use hindu ya musalman banaya
kudrat ne to bakshi thi hame ek hi dharti
hamne kahi bharat kahi iran banaya
jo tod de har bund vo tufan banega
insaan ki aulad hai insaan banega
tu hindu banega na musalman banega
insaan ki aulad hai insaan banega
nafrat jo sikhaye vo dharam tera nahi hai
insaan ko jo ronde vo kadam tera nahi hai
kuran na ho jisme vo mandir nahi tera
gita na ho jisme vo haram tera nahi hai
tu amn ka aur sulah ka armaan banega
insaan ki aulad hai insaan banega
tu hindu banega na musalman banega
insaan ki aulad hai insaan banega
ye deen ke taajar, ye vatan bechne wale vatan bechne wale
ye deen ke taajar, ye vatan bechne wale
insaano ke laasho ki kafan bechne wale kafan bechne wale
insaano ke laasho ki kafan bechne wale
ye mehlo me baithe huye katil, ye lutere
kaanto ke vajru hai chaman bechne wale
kaanto ke vajru hai chaman bechne wale
tu inke liye maut ka ailaan banega
insaan ki aulad hai insaan banega
tu hindu banega na musalman banega
insaan ki aulad hai insaan banega

—————

Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala from Hum Dono (1961).

Main Zindagi Ka Saath Nibhaata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya
Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Mein Usko Bhulata Chala Gaya
Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Main Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya

—————

Jo Wada Kiya Woh Nibhana Padega Song With Lyrics from Taj Mahal (1963). Sahir won his first Filmfare Award for this song.

—————

Paon Choo Lene Do Phoolon Ko Full Song With Lyrics from Taj Mahal (1963)

—————

Chalo Ek Baar Phir Se from Gumrah (1963).

Chalo ek bar phir se
Ajnabi ban jaye ham dono
Na mai tumse koi ummid
Rakhu dilnavaji ki
Na tum meri taraf dekho
Galat andaz nazro se
Na mere dil ki dhadkan
Ladkhadaye meri bato me
Na jahir ho tumhari
Kashmkash ka raz nazro se
Chalo ek bar phir se
Ajnabi ban jaye ham dono
Tumhe bhi koi uljhan
Rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain
Ki ye jalve paraye hai
Mere hamrah bhi rusvaiya
Hai mere majhi ki
Tumhare sath bhi gujri
Hui rato ke saye hai
Chalo ek bar phir se
Ajnabi ban jaye ham dono
Tarruf rog ho jae to
Usko bhulna behtar
Talluk bojh ban jae to
Usko todna achchha
Woh afsana jise anjam
Tak lana na ho mumkin
Use ek khubsurat mod
Dekar chhodna achchha
Chalo ek bar phir se
Ajnabi ban jaye ham dono

—————

Aye Meri Zohra Jabeen Song from Waqt (1965).

—————

Choo Lene Do Najuk Hothon Song from Kaajal (1965).

—————

Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo Song from Hamraaz (1967).

—————

Hum Intezar Karenge Song from Bahu Begum (1967).

—————

Babul Ki Duwaein Leti Ja Song from Neel Kamal (1968).

—————

Tera Mujhse Hai Pehle Ka Naata Koi from Aa Gale Lag Jaa (1973).

—————

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein from Kabhi Kabhie (1976)

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

—————

2 Comments
  1. aryan 5 years ago

    Excellent post and great collection of songs liked it. Agreed Sahir Ludhianvi one of the greatest lyricist of Indian cinema.

Leave a reply to aryan Click here to cancel the reply

Log in with your credentials

Forgot your details?